Yeah yeah yeah yeah
Kaate kaat mere dil pe zuban hai
Bhede dil yeh aisa kamaal hai
Sala poochhun aaj kiska khayal hai
Rait ki raani hai kisse kamaal hain
Sa surmay bhari woh hai bala
Dekh ke usko zamana jala
Maaya ka jaal hai uski kala
Uske isharon pe main hoon chala
Jab woh chale sansaar jhuke
Jab woh mude tarni bahe
Jab hath uthaye aandhi ruke
Jab palkein jhukaye to waqt ruke
Darta karta phir bhi hai mera man
Naam sun ke badh jaaye dhadkan
Mitti pe pade jab uske kadam
Karde sakht zameen ko phir se naram
Jalwa teri aankhon ka dekh yeh jalwa
Mujhe paas bula mat sharma
Teri yaad mein roz hoon jalta
Dikha de tu apna jalwa
Teri aankhon ka dekh yeh jalwa
Mujhe paas bula mat sharma
Teri yaad mein roz hoon tadpa
Dikha de tu apna
Samandar ke jaisi badhti lehar
Bawandar ke jaisi dhaati kehar
Sone sa chamke hai uska badan
Chhu de to amrit ban jaaye zehar
Asli hai chehra use sab hai pata
Jaal hai gehra us’se kuchh na chhupa
Dil hai jo thehra use nahi hai pata
Kya teri maaya zara mujhe bhi bata
Dhoondhun main usko kahaan
Hothon pe jiske hai lipta jahan
Itna dard kyon maine saha
Jab milne hi the donon jahan
Ruk gayi meri saans bhi
Mehsoos karne ki aas bhi
Ghul ja mujhmein jaise chashni
Kat gayi hai saali raat bhi
Jalwa teri aankhon ka dekh yeh jalwa
Mujhe paas bula mat sharma
Teri yaad mein roz hoon jalta
Dikha de tu apna jalwa
Teri aankhon ka dekh yeh jalwa
Mujhe paas bula mat sharma
Teri yaad mein roz hoon tadpa
Dikha de tu apna